Tuesday, 31 January 2017

pyar ka sath hona jaruri nhi hota ha lekin pyar hona jaruri hota hai lekin kyu


Pyar Kya Hai? Pyar ke kyi roop hote hai. Jinko aap pyar karte hai vo aksar vo log hote hai jinke saath rehna aur time bitana aapko acha lagta hai. Ye vo log hote hai jinhe kho dena aap sahan nhi kar sakte hai. Aur vo jinke bare me aap sabse jyada parvaah karte hai.
Dusri aur bhale hi koi aapke saath bura bartav (behave) kare ya aapko dukh pahuchaye, aap tab bhi unse sach much pyar kar sakte hai. Aap apne Mata – Pita, apni family aur apne doston ya kisi paltu janwar aur apne saathi ke liye alag alag roop me pyar mehsoos kar sakte hai.

Pyar Karna Aur Pyar Me Hona

Doston, Kisi ko pyar karna aur Kisi ke pyar me hona do alag alag baat hai. Ek rishte ki shuruwaat kisi ke pyar me hone jaisi hoti hai, jab aap dusre ki sirf achi cheeze hi dekhte hai aur ek tarah se apne aap ko ghane badlon me ghoomta hua mehsoos karte hai. Kuch time baad un bhavnao (feelings) me badlaav aa jaate hai, aur tab dusre person ke liye aapki bhavnaye aur gahri, stable, madhur aur parvaah karne wali ho jaati hai – Aap unhe pyar karne lagte hai.
Pyar Kya Hota Hai cute couple artistic image

Pehli Nazar Ka Pyar

Aap kisi aise person ko bhi pyar kar sakte hai jinhe aap theek se jante bhi nhi. Ya kisi dost ke rishte me bhi dheere dheere pyar panap sakta hai. Aur kabhi kabhi kuch logon ke liye tabhi pyar ki shuruwat hoti hai jab vo saath me sex karte hai.

Pyar Ek Process Hai

Normally pyar me sabse pehle sexual attraction ki feeling aati hai, fir ek bhut acchi si jabardast pyar me hone ki feeling aati hai aur uske baad bhut gehra attraction (lagav) hota hai jo time ke saath badhta hai aur kyi saalo tak ya jeevan bhar reh sakta ha

No comments:

Post a Comment

Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability

  Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability Known for its mid-range smartphones, Vivo has leveled up from i...