Tuesday, 21 June 2016

IPS Kaise Bane – Age, Qualification, Physical Test & Exam Pattern

IPS Kaise Bane – Age, Qualification, Physical Test & Exam Pattern


IPS India me IAS ke baad sabse jayda pratishthit (प्रतिष्ठित) steam hai. Logon ko IAS ke bare me bahut saare facts hai jo nahi pata jiski vajah se unhe lagta hai ki IAS ka pay package jayda hai, ya unhe lagta ki IAS ka standard jyada hai, jab ki asliyat me aisa kuch nahi hai. Aapko shayad pata nahi hoga ki kyi log IAS stream milne ke baad bhi IPS me jana prefer karte hai. Toh chalo jinko sachi mein IPS me interest hai toh unhe batate hai, IPS Kaise Bane?






Pehle aap sab ke dimag se jo ek cheez hum clear karna chahte hai, wo ye ki IPS aur IAS me kya difference hai. IAS (Indian Administrative Services) aapko jo job sector offer karta hai, wo DC (Deputy Collector) or DM (Deputy Magistrate) aur IPS aapko police sector me job offer karta hai. Ab is difference ke baad hum badhte hai, IPS Kaise Bane?
IPS Kaise Bane?





IPS banna ek khud me hi bahut badi achievement hai, iske liye aapko bahut padna toh padhta hi hai, but uske sath sath bahut sare aur levels hai jo clear karne hote hai. IPS banne ke liye bahut hard work, stamina uar physical fitness ki zaroorat hoti hai. Aur wo limits kya hai, wo hum aapko batayenge.

1. IPS Ke Liye Kis Test Ki Zaroorat Hoti Hai?



UPSC ek central body hai, jo sari government exams conduct karte hai. Isse ke under IPS or IAS ka exam aata hai. Ye sab test ke baad aapki government post, aapke rank ke according decide hoti hai. Ye ranking har baar, cut off ke according change hoti hai. Sabse highest rank IAS ke liye hote hai or phir IPS ke liye.


2. IPS Officer Kis Department Ke Liye Kaam Karti Hai?

IPS officer State or Central government dono ke liye kaam karta hai, but dono me uski service alag hoti hai. Central government  mein ek IPS officer, Central Reserve Police Force, Border Security Force, Central Bureau of Investigation, Intelligence Bureau, Research and Analysis Wing (RAW) etc. jaise organization ko serve karta hai, jab ki State Government me Assistant Superintendent of Police (shuru mein) and the Director General of Police (retirement ke time pe) jaise organisation ko serve karta hai.




3. Eligibility Criteria Kya Hota?

IPS exam ki jo special condition hai, wo ye ki aapko Indian Citizen hona zaroori hota hai. Male or female dono iss test ke liye appear ho sakte hai. Ab aapko batate hai, IPS Banne Ke Liye Age Limit and Qualification Criteria kya hai.

Age Limit Kitni Honi Chahiye?

IPS exam me appear hone ke liye apne category ke according is age limit me hona chahiye.
CATEGORY AGE LIMIT
General : 21 to 33 years
OBC : 21 to 35 years
SC/ST : 21 to 35 years
Qualification Kya Honi Chahiye?
IPS ke liye aapke pass kam se kam graduation degree honi chahiye.
Iske ilawa agar aapka last year hai graduation degree ka toh bhi aap, IPS ke exam ke liye baith sakte ho.



4. Physical Test Me Kya Hota Hai?
CATEGORY MALE FEMALE
Height(cm) Chest Expanded Chest Unexpanded
UR/OBC 165 85 80 157
SC/ST 160 81.2 76.2 152
Hillman 163 85 80 155



5. Additional Physical Factors Jo Check Hote Hai?


Myopia Minus 4.00D se jyada nahi hona chahiye, or Hypermetropia Plus 4.00 D se zyada nahi hona chahiye.
Spectacles allowed hai.
Binocular Vision or high-grade vision theek honi chahiye.



6. IPS Exam Ka Kya Pattern Hota Hai?

UPSC exam three step me conduct karta hai. Jis me ek exam clear karne ke baad aap dusra exam me appear honge, is tarah se aapko exam ke three level clear karne hai. Ye three level, Prelim, Main exam, Interview. Ye teen level karte he agar aapka rank acha aata hai toh IPS steam me enter kar chuke ho.

Ye hai aapka criteria IPS banne ka. Agar aap ye sab test clear karte hai toh aap IPS ban ne ke liye eligible hai. Kise or help ki liye hume visit karte ra


No comments:

Post a Comment

Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability

  Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability Known for its mid-range smartphones, Vivo has leveled up from i...