Kayi baar aapko unknown number se call aata hoga lekin hume pata nahi chal pata ki call karne waale ka naam aur location kya hai. Aur unknown number ke wajha se hamari important calls bhi miss ho sakti hai.
Is article me mai aapko batauga ki aap kisi bhi number ko kaise track kar sakte hai. Aap is article ko padhne ke baad ye pata laga payege ki Number kiske naam se hai, number ki location kya hai aur is number ko block kaise kare.
Ek company hai truecaller, jo ki aapko kisi bhi number ke owner ka naam dhundne me madad karti hai. Aap is company ki suvidha ka use mobile app aur website se kar sakte hai.
Pehle hum app se kisi number ki details nikalna seekhege.

Truecaller App se kaise jaankari nikali:

Truecaller ek app hai jo ki lagbhag har mobile ke liye uplabdh hai aur ekdun Free hai. Ye app mobile number ki jaankari ko dhundne ke saath saath ek bohot hi bhadia phone book ka bhi kaam karti hai. Aap is application ko App store se download kar sakte hai.
Apne phone me is app ko install karne ke baad aap is app me jaakar kisi bhi vyakti ka number daal kar search kar sakte hai. Agar truecaller ko number ki details mil gayi to aapko un number ki saari jaankair mil jayegi. Aur agar detail nahi milti to screen par “No match found” likha aa jayega.
Maine apni Truecaller App me jaise hi “+912267209001” dala to search me Big Rock ka naam likha aa gaya.
Screenshot_2015-09-08-21-58-48
Aage Padhe:
  1. You tube par Offline videos kaise download karte hai ?
  2. Android kya hai ?
Ab mai is naam par click karke Bigrock ki aur jada details jaise ki address bhi dekh sakta hun.

Screenshot_2015-09-08-21-59-03

TrueCaller ki website kaise use kare?

Agar aapke mobile me Truecaller app nahi hai to aap number Truecaller ki website par bhi search kar sakte hai.
Truecaller ki website www.truecaller.com par jaye aur search field me jo bhi number search karna hai use likhe. Number likhne ke baadSearch par click kare.
website-number-search-kare
Ab Truecaller aapse Sign In karne ko kahega. Hume Facebook dwara Truecaller me sign in kar liye.
facebook-se-sign-in-kare-trucaller-mai
Sign in karte hi Truecaller aapko Number ki poori jaankri de dega.
number-ki-jaankari-aajaegi

Live Caller Id

Agar aapke mobile me truecaller hoga to jaise hi koi bhi vyakti aapko unknown number se call karega, Aapke mobile me unknown number ke bajaye us number se jude vyakti ka naam aa jayega. Isse aapke jaroori calls miss nahi hoge.
Jaise hi mujhe kisi unkown number se call aata hai mujhe us number se jude vyakti ki poori jaankari apne aap hi aa jati hai.
caller-id-banai-ayegi
Agar aap bhi kisi ka number track karna cahte hai to abhi apne mobile me truecaller app download kare.
Agar aapko ye article acha laga to aisi hi updates ke liye aap hamaraFacebook Group join kar sakte hai.
Thank You :)
ye bhi padhe:
  1. Facebook par Shortcut keys se time bachaye ?
  2. Facebook par Video/Audio call kaise kare ?
  3. QR code kya hota hai ?