Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
l
Agar aapke pas smart phone hai to aapko pata hona chahiye ki usse aap kya kya kar sakte hai. is article me mai aapko bta raha hu ki aap calling, messaging, chatting, internet ke alawa apne smart phone se kuch or bhi kaam kar sakte hai. smart phone me kuch ayse features bhi hota hai jinke bare me aap shayad hi jante ho. jaise photo khichna, movie banana, remote ko check karna, meltiple panoramatic shouts, Heigh quality lans bana kar big cinema banana jaise bahut kaam kiye ja sakte hai.
Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam
mai yaha par aapko smart phone ke kuch top feature ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.
bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai. or jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai. yani ab aap apne adroid phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?
smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. meri btayi ye trick follow kare.
Trick:- Apne smart phone ka camera on kare or remote ke senser ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. agar remote sahi hoga to remote ke senser ki light blink karti huyi nazar aayegi. agar senser light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.
Projector ke bare me to aap jante hi honge. projector ka kaam hota hai zooming karna. cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho. or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movie dekh sakte hai.
Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?
Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. iske liye bas aapko bas ek shoes cartun, Magnifying glass ki jarurat padegi. Follw step:-
1. Magnifying lans ko shoes box ki ek side me rakh kae mark kare. or mark kiye gaye cartun ko blad se kar holl bana le.
2. box me holl karne ke bad lans ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka le.
3. ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
4. ab apne smart phone me koi bhi movie ya videos chala kar stand par rakhe. mobile ki screen Magnifying lans ki taraf karni hai.
5. aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lans use zooming kar output nikalega. ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
6. mobile ki video britness 100% kar le taki video clear dikhe.
Note:- aap shoes box ki jagah koi or mazbut item bhi use kar sakte ho.
aap panorama apps se ek sath apne kei pose shout kar sakte ho. agar aapke smart phone me panorama apps nahi hai to yaha se download kar le. hum jab apna photo lete hai to usme aas pas ke log bhi dikhayi dete hai. magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo sout kar sakte ho.
Panorama Se Sirf Apna HI photo Shoot Kaise Kare?
agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shout karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bagna hai. is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.
- Website Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- Bidvertiser Se Paise Kaise Kamaye Website Ya Blog Bana Kar
aap apne smart phone ke airphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. magar kya aapko pata hai ki aap airphone ki madad se photo bhi le sakte ho. chalo aaj mai aapko btata hu ki airphone se photo kaise khich sakte hai.
Airphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?
aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath airphone aata hai. airphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai. balki isse hum photo bhi khich sakte hai. actually airphone me jo play/pose ka buttan hota hai.usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho. sath hi aap value kam jada wale buttan se camera ko zoom in zoom out kar sakte ho. apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. yaad rahe ye trick extra liye gaye airphone me kaam kam karta hai isliye extra airphone lene se pahle check kar le.
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
- Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta. to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jada better photo lene ki.
Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?
jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare. or result dekhe photo kitna better aata hai. isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai. yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jada zoom kar sakte ho. (dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)
- Blogpost Ya WordPress Kounsa Platform Behatar Hai
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho. or phone ke sare data bhi mita sakte ho. jissephone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai.
Android Device Manager Kaie Kaam Karta Hai?
sabse pahle apne smart phone me android device manager apps download kar le. aap yaha se bhi download kar sakte hai.
1. android device manager apps ko apne phone me install kare.
2. ab apps ko apne google account se connect kar le.
3. ek bar google account se connect hone ke baad bad jitni bar aapka phone activate hoga. utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
4. sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chri hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
5. aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data mita kar apne vhori huye phone ko dead kar sakte ho.
- Blogger Me Facebook Popup Like Box Widget Kaise Add Kare
- Godaddy Se Rs99 Me Domain Register Kaise Kare
bahut se phones me havi speaker na hone ke karan jada sound nahi hoti. magar aap chahe to aap is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.
Smart Phone Ki Suod Quality Kaise Badhaye?
apne smartphone me music on kar me phone ko khali zar me rakh de, or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai. isliye phone ki sound badh jati hai.
- Google Par Apni Website Ki Ranking Kaise Check Kare
- Social Follow Buttan Widget Blogger Me Kaise Add Kare
Ji ha dosto aap apne smart phone ko madem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. bahut se logo kp iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wieless kharid lete hai. mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.
Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaie Use Kare?
1. apne phone ki setting me jaye.
2. More… option par click kare.
3. ‘Tethering & portable hotspot’ par click kare.
4. Portable WI-FI hotspot ko on kare.
5. ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne wi-fi ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sdake.
6. ab apne pc me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. apne password set kar ke connect kar le.
- Apne Android Phone Me 2 Whatsapp Account Kaise Use Kare Hindi Me Jane
- Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan
apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga. par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rashte hai. or internet pack kam hone ke karan jab mb khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. ye bat aap bhi jante hai ki mb na ho to internet chalane par kitne paise kat te hai. aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupee nahi katega.
Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?
aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.
Tips:- man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai.
1. agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
2. ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatick band kar dega.
3. so aap agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai. isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.
agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jada google account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi. or aapko 2-3 email id manage karne me aasani hogi.
Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?
1. apne phone ki setting me jaye.
2. ab account>> Add account par click kare.
3. apni email id se log in kare.
4. is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.
Note:- Apne phone 3-4 google account se jada account se log in na kare. warna aapki email id block bhi ho sakti hai.Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hongi. agar ye bat sdach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare. or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai. to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga. aap comment me apne sawal puch sakte hai.
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteWe have given you great information, we hope that you will continue to provide such information even further. Read More...Yaddasht Sahi Rahegi रोजगर्रा के काम नए ढंग से करें , याददाश्त सही रहेगी ।
ReplyDeleteWow Wonderful Post.
ReplyDeleteHindiZilla - Online Paise Kaise Kamaye"
HindiZilla - Blogging Se Paise Kaise Kamaye"