Thursday 13 October 2016

Short Term Courses Jaldi Job Pane Ke Liye ( 6 Months -2 yrs)

Short Term Courses Jaldi Job Pane Ke Liye ( 6 Months -2 yrs)

 

Short term Courses ki List- Job Jaldi Pane Ke Liye

Aaj ke time me sab acchi job pana chahte hai, lekin jyada padhna koi nhi chahta. Sab ye sochte hai unhe acchi job, acchi position aur acchi income mile, lekin uske liye unhe jayda mehnat aur jyada study na karni pade. Pichle kuch time se lagatar kuch aise questions humare paas aa rahe hai ki kya karu jisse job jaldi mil jaye, konsa course karne par job achi milti hai, kam padhne par bhi achi salary kaise milegi blah blah.. Aap bhi kuch aisa hi soch rahe honge. Hai na? Isiliye hum aaj share karne ja rahe hai kuch short term courses, jisse karne ke baad job bhi achi milegi aur aap satisfied bhi honge. To chaliye badhte hai apne aaj ke topic ki taraf Short Term Courses Jaldi Job Pane Ke Liye ( 6 Months -2 yrs). 
Short Term Courses Jaldi Job Pane Ke Liye ( 6 Months -2 yrs) Courses-that-Get-You-a-Job

Short Term Courses Ki List

Aajkal jaydatar students ko degree ki jagah diploma chahiye. Kyuki ye time kam consume karta hai aur job bhi acchi provide karta hai.. To aaj hum aapke sath kuch aise ki diploma aur courses share karne jaa rahe hai..

Certification in Finance and Accounts

Certification in Finance and Accounts, B.com vale students ke liye hai. Ye course 4 weeks ka hai aur iski fees Rs 10,150 hai. Ye certificate NIIT Uniqua in association with Genpact offer karta haiafter B.com. Iss course me students ko knowledge of business processes, basic voice training provide ki jaati hai. Iss program ke through students ko accounts aur business se related termonologies aur kaise business me kaam hota hai sab sikhaya jaata hai.

Yuvodaya

Yuvodaya course 3 months ka hai jo Met Life Insurance and Delhi University offer karti hai. Iski fees Rs. 5,000 hai. Ye course graduates aur insurance agents kar sakte hai. Iss course meInsurance Training and Career Opportunity provide karte hai. Iss course me 9 weeks ki coaching aur 1 month on-job training provide ki jaati hai. The programme will offer education and training in insurance sales practices, products, legal and regulatory aspects.

Radio Jockeying & TV News Reading

After 12thDelhi University offer karti hai ki aap Radio Jockeying & TV News Reading me apna career banaye. Jo candidates media industry me apna naam karna chahte hai ye unke lye best hai. Iss course ki fees Rs.15000 hai, 3 months ki.

Diploma in Teaching English

English Teaching me apna career banane ke liye Symbiosis Centre aapko 12th ke baad 1 chance deta hai. Jiss candidate ke 12th me minimum 45% marks hai vo isske liye eligible hai. Iss course ke liye candidate ki age minimum 16 years honi chahiye aur iski fess Rs.7000 hai. Iss course ka main aim hai english ko easily sikhana aur students ko sikhana.

PG Diploma in Preventive & Promotive Healthcare

Psot graduation in Preventive & Promotive Healthcare ek diploma hai jo 1 year hai aur Dr. B.R.Ambedkar Open University se hota hai. Iski fees Rs.17000 hai. Iss course ko karne ke baad aaj ke lifestyle ke hissab se kaafi diseases like obesity, depression, cardiac ailments, cancer se door raha jaa sakta hai. the course covers Health & disease management, Disease Management, Cardiac Care, Cancer Risk Factors Management, Health, Psychology and Stress Management, Nutrition and Dietetics, Exercise Health and Lifestyle Assessment. The applicant must be a graduate in Medicine/ Psychology/ Bio-Sciences/ Alternative Medicine/ Nutrition or Physiotherapy.

Diploma in Paithani Handicraft & Modern Garments

Paithani handicrafts aur garments ko modify karne ke liye aur art and crafts ko succeccful banane ke liye Paithani Handicrafts & Modern Garments me Diploma kiya jaata hai. Ye aap 10th ke baad bhi kar sakate hai. DPHMG, Yashwantrao Chavan Maharashtra Open University se kiya jaata hai. Iski fees Rs.20300 hai. State govt. handicrafts ko aur successful banane ke liye small scale industries bhi lagewati hai. Matlab DPHMG karne ke baad aap govt se bhi help le sakte hai, small scale industry lagane ke liye.

Diploma in Education Technology (DET)

DET 1 year ka diploma hai jo ki MP Bhoj University offer karti hai. Jiss student ne 12th ki hai vo iss course ke liye eligible hai. Iski fees Rs. 6,900 hai. DET un students ke liye hai jo techer banana chahte hai aur multimedia content aur communication technologies ko teching practice me lana chahte hai.The programme includes MS-Office training, usage of Multimedia and Graphics Tools and a project work which gets spread over a period of one year minimum and can be completed in 3 years maximum.

Retail Management Programme

RMP,  Indian Institute of Job Training located in Kolkata offer karta hai. Iski fees Rs 35,000 hai. Ye 1 year ka course hai. Jiss candidate ne 12th 60% se paas ki hai vo iss course ke liye eligible hai. RMP ke liye sabse important skill hai soft spoken and communication skills. Inn skills ke bina ye course waste of time and money hai.

Diploma in Food & Beverage Services Management

Maharshi Dayanand University, Rohtak Diploma in Food & Beverage Services Management course offer karti hai, jo 1 year ka hai. Isme admission lene ke liye candidate ko 12th me minimum 45% marks acheive karne hote hai. Iski fees Rs.21900 hai. Iss course me students ko food aur services se related theoratical aur practical dono knowledge di jaati hai.
Ye the kuch short term courses aur diploma jisse job jaldi mil jaati hai aur jayda padhna bhi nhi padhta. inki sabse achi baat ye hai ki inn courses ki jankari jayda nhi hai kissi ke paas, isliye isme competition bhi nhi hai. We hope aapko humara aaj ka topic pasand aaya hoga. leave your comment. Stay tuned for more updates regarding education ๐Ÿ™‚ Do like and share our page on facebook, twitter, gmail etc.
topperguru.com

No comments:

Post a Comment

Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability

  Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability Known for its mid-range smartphones, Vivo has leveled up from i...