Thursday 13 October 2016

Kaise Pata Kare Ki Jivan Sathi Sahi Chuna Hai Ya Nhi Tips Hindi Me

Kaise Pata Kare Ki Jivan Sathi Sahi Chuna Hai Ya Nhi Tips Hindi Me


 

Kaise Pata Kare Ki Jivan Sathi Sahi Chuna Hai Ya Nhi?

Ek healthy relation vahi hai, jisse chalane me jayda efforts na karne pade. Jab kissi bhi relation ko chalane ke liye efforts jayda lagane padh rahe ho, to samajh jaiye doston ki alwida kehne ka time agaya hai ya uss relation ko alwida keh dena hi thik rahega. Life partner agar sahi ho to life ka safar asaan lagta hai, jindagi jeene me maaja aata hai jindagi haseen lagti hai. Aur vahi agarjeevan sathi sahi na mile to, jindagi katana mushkil ho jaata hai. Jindagi khatam hui si lagti hai. Aisi situation se baccha ja sakta hai, agar life partner choose karne se phele kuch cheezo ka dhyan rakha jaye. Aaj hum vahi baate share karne jaa rahe hai ki KAISE PATA KARE LIFE PARTNER SAHI CHUNA HAI YA NAHI? To doston chalaiye badhte hai aapne topic ki taraf…
KAISE PATA KARE LIFE PARTNER SAHI CHUNA HAI YA NAHI tips in hndi

KAISE PATA KARE LIFE PARTNER SAHI CHUNA HAI YA NAHI?

Kuch log kehte hai unhe first time me hi pata chal gaya tha ki ye insan unke life partner ke liye sahi hai. Lekin sabke saath aisa nhi hota. Kch log bahut confuse hote hai. Aapko kaise pata chalega ki jisske liye aap sapne saja rahe vo iss kabil bhi hai ya nhi?
  • Spend Some Time Together

Apne partner ko acche se janane ke liye uske sath time spend kare. Public place par jaye, unke atitude aapke liye aur apne liye kaisa hai iss baat par dhyan de. Kuch time sath me spend karne se aapko uske liye positive ya negative vibrations aane lag jaegi aur aapko pata lag jaega ki ye aapka life partner sahi hai ya nhi?
  • Baat Karne Ka Tarika

Baat karne ke tarike se insaan ke sachai ka pata chalta hai. Jab aap uske sath hai, to unke baat karne ke tarike par dhayan de. Agar vo person genuine hai to aapke sath aur sabke sath ek hi tarike se baat karega. Uska behaviour same hoga sabke liye. Agar usme kuch bhi banwati hai, to aapko uske baat karne me farak dikhayi dega. Agar vo aapse aram se pyar se baat kar raha hai, lekin vahi aur hai jisse vo dhang se baat nhi kar raha to samajh jaiye ki ye insan double personality hai, ander se kuch aur bahar se kuch.
  • Apne Career Ke Bare Me Baat Kare

Jiss person ko aap life partner banane ke bare me soch rahe hai usse apne future goals aur uska career ke bare me baat karne se piche na hate. Jab aap ek dusre ke sath apni life spend karne ke bare me soch rahe hai to aapko ek dusre ke career ke bare me janane ka haq bhi hai. Career ke bare me baat karte huye notice kare ki kya vo aapke career ke bare me baat karne me interested hai ya nhi? Agar interested hai to acchi baat hai, aapka would be life partner aapko aur aapke career ko importance deta hai.. In case agar vo interested nhi hai, to samajh lijiye ki aapka career sirf aapka hai, vo sirf ek sapna bankar hi rehne vala hai.
  • Alag Alag Interest Aur Soch

Kissi bhi topic ko lekar chahe vo personal ho ya social issues, ek dusre ki salah lena jaruri hai, issi se aapko pata chalega ki aap dono ki soch milti hai ya nhi. Kaphi cases me dekha gaya hai ki soch alag alag hone ke karan couples me bahut differences aajate hai. Isiliye phele se hi apne liye advantage le kar chale. Dhyan se kya aapka life partner aapki suggestion ko bhi sunte hai ya nhi? Kyuki friends, relation kissi ek ke efforts se nhi chalta, dono ko apna part play karna hota hai. Tabhi vo successful hota hai.
  • Social & Personal Life

Friends, ye bahut jaruri hai, dhyan de jab aap akele me hote hai to aapke partner ka behaviourkaisa hai aur jab public place ya society me hote hai to behaviour kaisa hai? Kahi aisa to nahi ki kissi karan se aapka life partner aapke liye embarass feel karta hai? Ya unka bartaw socially ya personally thik nhi hai, to aap unse khul kar baat kare.
  • Baatein Aur Feelings Share Karna

Apni baat aur feelings ko share kare. Tabli aapko pata chalega ki vo person jisse aap life partner banana chahte hai, vo aapko kitna acche se samjhta hai. Aap kya chahte ho, future me aapko kya chahiye, aap kaha ghumna chahte ho.. etc. sab baate share kare. Notice kare aapke partner ka reaction. Lekin koi jhuthi umeed mat badhna, kyuki inhi questions aur baato ko lekar baad me ladaiyan hoti hai. For example, girls ko ghumne ka aur shopping ka shonk hota hai, aur uske would be partner usse kahe ki koi problem nhi hai, jab bhi kahogi, jaha bhi kahogi hum ghumne chala karegne.. It that so easy? Nhi. It would be better ki aap usse kahe, ki hum 6 months me 1 baar, ya yearly ghumne chalenge.
  • Trust (Vishvash)

Trust har rishte ke liye bahut jaruri hai. Aisa mana jaata hai ki, Jaha trust hota hai vaha pyaar hota hai, lekin jaruri nhi jaha pyaar ho vaha trust bhi ho… Trust ko pyaar se jayda importance milti hai. Isilye apne partner par trust karna sikhe. Lekin apne pyar me andhe na ho jaye.
  • Romantic Batein

Apne would be life partner ke sath kuch time romantic baate karna bhi jaruri hai. Aisa mana jaata hai ki kuch time romantic baaten karne se pure din ki thakan dur ho jaati hai. Aur ye ek accha tarika bhi hai judge karne ka ki kya aapne sahi life partner choose kiya hai ya nhi? Agar aapme romantic baate ho rahi hai to you made a good choice. Agar kuch time baad aapko lagane lage ki aapka partner bore ho raha hai to aapko sochne ki jarurt hai ki vo abhi se bore ho raha hai, sari life kaise rahega?
So my friends, this are some tips to know Kya Aapne Sahi Life Partner Choose Kiya Hai Ya Nahi?We hope aapko ye article pasand aaya hoga, to humare page ko like and share karna na bhulesocial sites par. Apne views aur experience regarding today’s topic, humare 
toppperguru.com

No comments:

Post a Comment

Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability

  Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability Known for its mid-range smartphones, Vivo has leveled up from i...