Friday 14 October 2016

Ek Student Ko Kaise Rehna Chahiye sahi mayne me kaise rahna chahiye ek student ko yah

Ek Student Ko Kaise Rehna Chahiye

 
Doston aaj Topper Guru aapko btane ja rahe hai ki `Ek student ko kaise rehna chahiye`. Is topic me aap hum aapko batayege ki ek student ka attitude, uska behaviour kaisa hona chahiye or aise kafi tips padenge jo aapko ek behtar student banne me help karegi. Jo smart students hote hai unhe pta hota hai ki student ko kaise rahna chahiye jo unhe auro se alag kare. Agar aap bhi ye janna chahte hai ki Ek Student Ko Study Aur Life Me Kaise balance Rakhna chahiye, to Topper Guru ki tips padh kar aapko achi tarah pata chal jayega ki ek layak student ko kaise rehna chahiye. To Chaliye fir jante hai kya hai ek ache honhar student ke gun.

Student Ko Kaise Rehna Chahiye

Kuch choti choti baate hoti hai jo bada fark paida karti hai, jisse ek nalayak, ek average aur ek honhaar student ki pehchan hoti hai. Jaise Poot ke paanv paalne me dekh kar hi pata chal jaata hai ki vo layak hoga ya nalayak usi tarah ek students me kuch gun dekh kar hi andaza lagaya ja sakta hai ki vo student kuch bada karega ya nalayak rahega.
Good student Banne Ke Liye Kya Karna Chahiye - Acha Student Kaise Bane
To ab start karte hai un points ke saath jo ek ache student me hone hone jaruri hai.
  • Positive Attitude
Agar aapko acha student banna hai to aapka attitude positive rehna bahut jaroori hai. Motivation aapko un garib bachcho se milegi jo duniya me unlucky hai kyuki unhe proper educational, kapde aur khana nahi mil rahi hai. Aur aise bhi kyi reason hai padhayi me motivate hone ke ki aap ek educated person ki tarah achi quality ki life as jee rahe ho. Apne aap ko motivate aur positive rakhne ke liye aap un logo ko dekho jo aaj ke time me famous aur Successful hai, unki education, degrees, grades, school records etc ke baare me padhiye. Ye sab dekh kar aur soch kar student ko motive jaroor hona chahiye aur har cheez me seekhne ke liye kuch na kuch jarur hota hai isliye student me seekhne ki kala honi chahiye isse ek positive energy milti hai jo ek student ke liye bahut jaruri hai.
  • Concentrate on Studies
Concentration strong desire (उत्सुकता) se milti hai. Iske liye aapko class me lecture ke time aur ghar par Home Work ke time jo aap padh rahe hai us par attention dena jaroori hai. Doston aisa mostly hota hai ki jab teacher turn back kar leti hai to hum sab chatting karne lag jate hai friendz ke sath… jo ki bilkul galat hai. Isse acha hai ki aap dusro ko distract na kare. Aapko realize karna chahiye ki har student class me kitna progress kar raha hai. So agar aap good student banna chahte hai to better performance de or apne goal ko achieve kare. Yaad rakhe dosto agar abhi study ache se karoge to aapko aage chance milega moj masti karne ka jab aap apna goal achieve kar loge.
  • Hard Style Behavior
Sabse jaroori baat yeah hai ki bache ka future uske behavior par tika hota hai, Textbooks aur notes ko yaad kar lena hi kafi nahi hota. Student ko sochna chahiye ki vo all rounder hai jiske paas good manners hai. Apne se bado ka aadar karo. School me classmates ka majak na banao kyuki aap agar unki jagah hote to aapko pata lagta ki aapne usse kitna hurt kiya hai. Jab bhi aap apne teachers ya schoolmates ko dekhte hai to hello kehna chahiye. Log aapke friendliness ko appreciate karenge or badle me bhi friendly behavior dikhayenge. Class me good manners dikhane chahiye. Kisi lecture me kuch puchne se pahle apna hand raise (khada) karna chahiye. Agar dosto aapke paas kuch khas nahi hai bolne ke liye to faltu bolne se acha chup hi rahe. Musibat me apne classmate ki help kare… fir kabhi na kabhi aap school me ek best friend ke roop me yaad kiye jaoge. Yeah sab doston ek achi reputation ke liye nahi karna chahiye balki apne ek ache future ke liye karna chahiye. Dosto isse lecture ke roop me na samjhe ye ek guideline hai aapke liye. Kyukibehavior sabse pahle aata hai aur dusri cheez baad me. So dosto aapna behavior aisa rakhe jisse dusre log impress ho jaye.
  • Management
Ye questions bahut students apne teachers se puchte rahte hai ki `Ma’am/Sir, mujhse padhai nhi hoti!` Chaliye in baato par vichaar karte hai: Aap study kyu karte hai? Kya aap study sirf apne parents ke liye kar rahe hai? Kya aap exam me cheating sirf good grades or marks ke liye karte hai? Ye list to bahut lambi hai dosto. First of all, dosto study hamesha basic study table me karni chahiye na ki dim light me. Agar aap ek hi chee ko padh padh kar bor ho chuke ho to kuch aisa padhe jisme aapko interest ho. Mostly student saari raat padhte rahte hai, na khelna sirf stresses kaam me … iske chakar me aap next morning sab bhul jate hai. Dosto study ke saath students ko khelna bhi chahiye. Agar aap sham ko thoda ghar ke bahar khelenge to aap fresh feel karenge. Aisa karne se aap ko energy milti hai or baki kaam karne ke liye extra strength bhi milta hai. Aap apna ek timetable bhi bana sakte hai. Dosto hum to sirf aapko idea de sakte hai but aapko apni study khud manage karni hogi.
  • Helping and Advising Others
Apne aapko improve karne ke liye aapko apne skills ko dusro tak failana hoga. Agar aap apne skills ko share karte hai to aapko aapki neccessary things definately milegi. Hume dusro ki help karni chahiye kyuki isme hamara bhi benefit hota hai. Dosto dusro ki madaat karne se insaan bahut kuch seekhta hai. Or ek ache student banna chahte hai to dusro ki help karna sikhe. Iske liye study partners ek behtarin tarika hai. Study partner ke help se aap study me bhi help le sakte hai or jab aap dono hi understanding ban jaye to ek dusre ko teach karna shuru kare. Or dosto teacher ko students vahi pasand aate hai jinke paas extra knowledge hoti hai. So agar aap extra knowledge lena chahte hai to libraries jaye or extra books padhe. It really helps.
Agar aap successful banna chahte hai to school ke rules follow kare aur doston ke saath friendship banaye rakhe, kabhi kabhi masti bhi karni chahiye par aisa kuch na kare jisse kisi ko koi problem ho. Aap easly apne target ko achieve kar payenge bas aap kaam karte jaaye. Koi bhi doston sab subject me perfect nahi hota hai. Aapke paas strength aur weaknesses hai jisse accept karna sikhe. Din parti din regular hard work karte rahe… aap jaroor successful Banenge. So just keep work hard.
topperguru.com

No comments:

Post a Comment

Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability

  Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability Known for its mid-range smartphones, Vivo has leveled up from i...