Friday 10 June 2016

Apne Aap Ko Mentally Strong Banane Ke TARIKE

Apne Aap Ko Mentally Strong Banane Ke TARIKE

Apne aapko mansik roop se majbut (mentally strong) banane kon janna nahi chahata. Sab chahate hai ki wo andar se majboot ho or har samsya ka samna karne me saksham ho. Mentally strong hone ka matlab ye nahi hai ki aap dusro se behtar ho balki iska sahi arth hota hai ki aap har mushibat ka samna karne ke liye taiyar ho. Aaj is post me mai aapko khud ko mentally strong banane ke bare me kuch tips bta raha hu. Ummid karta hu aapko ye bate pasand aayegi.
10 Powerful Ways To Become Mentally Strong
Is bat me koi shaq nahi hai ki tez dimag wale log damdar (powerful) hote hai. Ayse log har masle ko bad iaasani se samajh lete hai. Ek normal person or ek intelligent person me din rat ka andar hota hai. Iska pata unke vicharo (thoughts). unki dinchrya (activities) or unke kaam karne ke style se pata chalta hai.
Yaha mai aapko top 10 powerful tips bta raha hu jo aapko mentally strong bana sakti hai. Mai yaha aapko bahut hi simple bhasha me bta raha hu. Ho sakta hai aapko meri bhasha pasand na aaye. Magar mai chaahta hu ki ise har ek newbie reader aasani se samajh sake.

Apne Aap Ko Mentally Strong Banane Ke Top 10 Powerful Tarike

1. Mentally Strong People Hold the Power: खुद पर काबू रखना
Jo log mansik roop se majboot hote hai wo log kabhi kisi metter par gussa nahi karte. Wo apni bhavnao (Emotions) par full control kar lete hai. Agar koi unge bhala bura kahta hai ya fir koi unhe gali bhi de le to wo use ingonre kar dete hai. Kyuki wo jante hai ki ayse logo ke muh lagne se problem kam nahi balki jyada hi badhti hai.
Agar aap apne aap par (yourself) or apni emotions par control kar sakte ho. Sath hi aap negative situations hone par kaisi partikirya (respond) dete ho. Yahi btata hai ki aap kitne mentally strong hai.
2. Mentally Strong People Never Feel Sorry for Themselves: अपनी गलतियों पर रोने न बैठना
Mentally strong people apni galatiyo (mistakes) par afsos karne ke liye time west nahi karte hai. Means wo sabkuch chod kar baith kar apne aapko kosna shuru nahi karte hai. Balki wo mistakes hon apr uski wajah pata karne or us kaam ko fir se shuru karne me lag jate hai. Kyuki unhe pata hota hai ki galati karna hi success hona sikhata hai. Wo jante hai ki unse jo glati huyi hai use kaise handle karna hai.
Isiliye mansik roop se majbut aadmi kabhi bhi apne aapko kosta nahi hai. Na hi wo nirash ho kar apna work band karta hai.
3. Mentally Strong People Like Changes: बदलाव पसंद करना
Intelligent people humesha badlav ko accept karte hai or uska welcome karte hai. Kyuki ayse logo ko changes bahut pasand hota hai. Wo humesha kuch na kuch new karna or naya janna chahate hai. Mentally strong people changes me wishwas rakhte hai. Wo sirf khud ko hi nahi balki is puri duniya ko badla hua dekhna chahate hai.
Welcome Changes
4. Mentally People prefer to do their own work: अपना काम खुद करना
Hoshiyar logo ki sabse achi or badiya khashiyat ye hoti hai ki wo apna har kaam khud karna pasand karte hai. Wo kabhi kisi ke samne hath nahi failate. Kyuki wo chahate hai ki wo apne field ko bariki se samajhe jisse une aane wale time me problem na ho. Example, Agar aap kisi or se website banwaoge or kal ko aapko usme koi problem ho gayi to fir se kisi na kisi website developer se request karna padega. Or man lo agar aapki 5-10 day kisi ne help nahi ki to aap kis position par aa jaoge. I hope har ek clever person apna kaa mkhud karna pasand karta hai.
Apna kaam khud karna mujhe bahut pasand hai. Supportmindia ka har regular visitor ye bat already janta hai. Mai jo bhi karta hu khud hi karta hu. Or isi wajah se mujhe apne kaam me badi se badi problem choti lagti hai. Example, Mai ek blogger hu mera kaam hai articles likhna or apne readers ko motivate karna. But own work karne se aaj mai wordpress, blogger and other kuch platform ki coding language iskh gaya hu. Is kaam me mera koi teacher nahi hai or na hi maine koi course kiya hai. Bas internet par se hi sabkuch sikh liya hai or aaj mai wordpress theme, blogger template develop kar sakta hu.
Ab aap soch sakte hai ki apna kaam khud karne se aadmi ko kitna fayda hota hai. Ek kaam karne me use or bhi bahut si jankari mil jati hai.
5. Mentally Strong People Learn from their Mistakes: अपनी गलतियों से नया सीखना और उन्हें याद रखना
Apni galtiyo se new sikhna hi ache inshan ki pahchan hoti hai. Hoshiyar log apni glatiyo sekuchna kuch naya sikhte hai. Mentally strong people humesha apni glatiyo ko yaad rakhte hai. Halanki bahut si bato ko yaad rakhna possible nahi hai. Magar ayse log apni mistakes ko kabhi nahi bhoolate.
Ek intelligent person apne past me huyi mistakes ko yaad rakhta hai or unse sikh leta hai. Kyuki wo future me fir se aysi galti nahi karna chahata.
6. Mentally Strong People Don’t Dwell in the Past: मानसिक रूप से मजबूत लोग अतीत में ध्यान केन्द्रित नहीं करते
Kal ke bare me soch kar apna time west na karna intelligent people bilkul pasand nahi karte hai. Wo apne futue ko past se nahi jodte balki use or better banane ke bare me sochte hai.
Ek mentally strong man apne past ke bare me soch kar na jine wala nahi hota. Wo today yani aaj me jita hai or apne kal ke liye plan banata hai.

7. Mentally Strong People are not Jealous of Other People’s Successes: मानसिक रूप से मजबूत लोग दुसरे कामयाब लोगो से क्जलते नहीं है बल्कि उनके जैसा बनना चाहते है
Mentally strong people kabhi bhi kisi other success person se jalte nahi hai. Balki wo uske kaam ko dekh kar khud bhi uski tarah banna chahate hai. Wo ayse logo ke work ko enjoy karte hai or unse ache relation banane ki koshish karte hai. Yaha tak ki ayse log unhe apni life event me invite bhi karte hai or unse mil kar apni life ko or behtar banane ki koshish karte hai.
Friends mujhe bhi bahut se log jalte hai or pata nahi kya kya likh kar contact form me message karte hai. Mai unhe jawab du bhi to kya samajh nahi aata hai. Ha unse itna jaru kahunga ki “Aap mujhe gali to ya pyar mai aapki feeling jo ki mere khilap hai ka sgawat karta hu or god se pray karta hu ki ek din aap or mai ache dost bannenge.” Bas isse jyada mai kisi se kuc
8. Mentally Strong People Don’t Mind Being Alone: मानसिक रूप से मजबूत  लोग कभी अकेला महसूस नहीं करते
Ye bat 100% sach hai ki mentally strong logo ke pas time kam or kaam jyada hota hai. Wo chahe kisi bhi jagah par ho kabhi akela mehssos nahi karte. Kyuki unke sath unki company unke fans humesha rahte hai.
Feel happy alone
Agar aap kahi sunshan jagah par baith kar akela mehsoos kar rahe ho to simple hai mentally strong nahi hai. Kyuki ayse log kisi bhi jagah par khus rahne ki power rakhte hai. Unke dimag me humesha kuch na kuch chalta rahta hai.

9. Mentally Strong People Don’t Feel Pround Themselves: खुद पर गर्व नहीं करना
Mentally strong log kabhi nahi sochte ki wo bade hai or unhe duniya sabse better manti hai. Na hi wo apne se chote logo ko dekh kar haste hai or apne aap ko bada nahi kahte hai. Wo apne se bado ko dekhte hai or unse aage niklna chahate hai. Yakinn maniye aap chahe kisi bhi mukam par kyu na ho ek bar nazar karoge to duniya me aap se bade bahut hai. So apne se chote logo par hasna chod kar apne se bade logo ko follow karo.

10. Mentally Strong People Love and Work For Success Not For Money: सफल लोग पैसे नहीं कामयाबी पाना चाहते हैं
Ek acha sahi dimag wala aadmi humesha kamyab hona chaahta hai. Use paiso se koi pyar nahi hota. Wo sirf itna sochta hai ki use duniya me kuch behtar karke dikhana hai. Jisse duniya use marne ke bad bhi yaad kare. Wo chahata hai ki wo sari jindagi dusro ke liye jiye or unke liye hi mare. “Paisa har jarurat puri nahi kar sakta. Paisa sirf aapko samne se bada bana sakte hai. Piche se log aapko galiya hi denge. Izzat, shohrat, achha kaam, logo ka pyar, kaamyaabi hi sirf aapke humesha sath rahegi. Only is janm me nahi duniya aapko janm janm tak yaad rakhegi.” Ye sirf ek ache inshan ki soch ho sakti hai.

Facebook par mujhe ek firend ne kaha tha ki aap jyada paise kamane walo ko follow karo. But why mujhe to paisa nahi success chahiye. So mai aap sabhi logo ko suggest karunga ki usi inshan ko follow karo. Jo paiso ke liye nahi public ke liye work karta ho.
Finally, I hope aapko is article me motivate karne wali or apne aapko mentally strong banane ki information milegi. Ye koi majak nahi hai. Agar aap inhe follow karo to shayad aapki life change ho jayegi. Apne se jalne walo ko chod kar un logo ko dekho jo aapse nahut pyar karte hai. Unke liye kuch better karo. Kabhi mat socho ki aapko jalne wale logo ko sabk sikhna chahiye. Balki ye socho ki aysa kya kiya jaye to aapke dushman bhi aapke dost ban jaye.

Yakinn aysa ho sakta hai. Bas aap me uska dil jitne ki kabiliyat honi chahiye. Agar mai meri bat karu to mujhme bahut si kamiya hai jo mujhe mere dosto se nahi mere dushmano se pata chalti hai or mai unhe sudhar leta hu. Ab mujhe kise thanks kahna chahiye. Simple hai mujhse jalne walo ko kyuki unhi ki wajah se mujhe apni mistakes ka pata chala hai. So ayse logo ka bura mat socho Balki unhe jo karna hai karne do or unki bato se apne aapko behtar banao.
Ummid karta hu ki aapko ye post pasand ayegi or post me di gayi motivation jankari bhi. So plz ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

www.saportmeindia.com

1 comment:

Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability

  Vivo V27 Pro review: All-round smartphone with focus on imaging capability Known for its mid-range smartphones, Vivo has leveled up from i...